Tuesday, January 26, 2010

Main Tumhen Pana Chahta Hoon

The below is a result of an assignment in which me with my colleague need to write some sher on the title "Main Tumhen Pana Chahta Hoon" and this is what i submitted. I dont know what about the others... main tumhen pana chahta hoon! dard bhare geet bhulana chahta hoon, kheja mein phool khilana chahta hoon, saaz-e-dil sunana chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon! Dilon k raftaar badhana chahta hoon, Khamosh zindagi bhagana chahta hoon, paani mein aag lagana chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon! khushi ke nagmein gungunana chahta hoon, batil ehsas zaheerana chahta hoon, mustian lutana chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon! dabe josh ka ehsaas karana chahta hoon, aasmaan ko jhukana chahta hoon, samandar mein gote lagana chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon! parvat ko dhool banana chahta hoon, tu roothe to ashq bahana chahta hoon, har tarike se tumhein manana chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon! tere aankhon mein apna naqsh chahta hoon, tere sapno mein apna ekhtyaar chahta hoon, tere saanson apni khushboo ka ehsaas chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon! Har zarre pe tera naam khudwana chahta hoon, Badalon se apne chahat ki gawahi chahta hoon, har haal mein tumhein rijhana chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon! Deewano mein apna shumar chahta hoon, Had-e-Dewangi k paar chahta hoon, apne kaseede padhwana chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon! teri raho se kaante hatana chahta hoon, teri thokar mein lana zamana chahta hoon, tere har gum ko apnana chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon!

Tuesday, January 19, 2010

Badalon mein

Most of us find some creation in clouds and this is what i found some day... like a potrait of a beautiful girl in the sky...then breez followed by thunder and drizzle and the result is.... Kahin door badalon mein, Tera naqsh ubhar aata hai, Phir ye khayal aata hai, Shayad khuda bhi tujhe hi chahta hai, Tabhi to badalon mein, tera naqsh banata rahta hai, Badal bhi khoob idhlata hai, bal khata hai, kah-kahe lagata hai, aur shokh adaon se dharti ko bhi satata hai, phir ye soch kar sihar jata hai, ke khuda uske pass kyon aata hai---3

Hi All,

I will be available on this blog for you only. I have some sher for you obviously written by me.

Ae dil dhadak le tu zara, Shayad teri ho ye ada, Ae honth kapkapa le tu, Teri agar ho aarzoo, Zubaan to bol na payega, Jab saamne ho dilbar mera, Jee chahta hai dekha karoon, Din raat subho sham yuhin, Dekhun na tujhe to marta hoon, Ghut ghut kar sanse leta hoon, Duniya bekar si lagti hai, Behtar ho agar main mar jaaoon, Dojakh ko bhi jannat samjhoonga, Deedar agar ho jaye tera, Ye marz hai tujhko kaisa zeb, Marke bhi sukun na payega.