Monday, May 3, 2010

Its all mine...

Tere honthon pe hai jo,
wo kalaam mere hain,
Palkon mein chhupa hai jo,
wo tasveer mere hain,
Laton mein phansa hai jo,
saansen wo meri hain,
Phaili fezaon mein,
khushboo bhi meri hain,
Teri jafaon ka parvaah karega kaun,
Teri thokron mein ab kismat ye meri hai,
Chahat ke rahon mein milte rahenge hum,
Marke bhi chahat ye hoga nahin khatam,
Milne ki khwahish mein lenge kai janam...

Long lasting life...

Some time you realize that the life has too many things, 
    which should go away... if not then life itself... 

Kaali andheri raat, 
    kabhi khatam to hogi, 
Pyaar bhare jazbaat, 
    kabhi khatam to hogi, 
Silsilaye mulaqaat, 
    kabhi khatam to hogi, 
Tamannaon ki baaraat, 
    kabhi khatam to hogi, 
Dosti ki ye saugaat, 
    kabhi khatam to hogi, 
Gareebon ki ekhrajaat, 
    kabhi khatam to hogi, 
Jeene ki ye khwahisaat, 
    kabhi khatam to hogi, 
Suna hai duniya faani hai.... 
Umr ki ye daraaz,
     kabhi khatam to hogi....

Tuesday, March 2, 2010

Punches

The most irritating word while talking on phone is "aur?"/"aur kya?". This word comes after every pause and you don't know how to handle it, but the good thing about this word is that it helps you to extend the conversation a little longer and making the subscribers richer.... Log poochhte hain aur kya... aur kya? Kya bataein unhein hum ye haal-e-dil.

Monday, March 1, 2010

Its just because of you

Somebody told me that writing will give you a level of satisfaction... My school teacher always told me to have focus on science only... and literature is just waste of time to me and i followed the same however i could not remain apart from literature...

Just because of you, have aim in my life, have reason to live, the way you walk, the way you talk, like an oasis in dust, i must fight again, just because of you. though its late, but i like to cover for what i lost, reviving my life... reviving my way, just because of you. dreaming in night n dreaming in day, Is the cause of my lost way, acting a bit is better to think, be realistic, have faith in you, hey look... i am changing...... just because of you.

Corelation...

It happens to everyone that what is happening to us seems repeatation, which happened a long back and we have something in our mind but not very much clear... tanha akele rahon mein, patjhad mein ya baharon mein, door koi dikh jata hai, dil se aawaz ye aati hai, ye tum sa koi hai ya tum ho? raat ki chadar phaili hui, kudrat ki bhi aakhein bojhal si, pedho k tane se lipti hui, isharon se paas bulae koi, ye tum sa koi hai ya tum ho?

Tuesday, February 9, 2010

Teri Galiyon Mein

This one seems to inspired by a hindi film song but unfortunately not. One day i thought that each and every shayer in india must have atleast one sher on maikhana... so i came up with this.. Ladkhadate teri galion mein, hum yun hi chal diye, Madhoshi k bahane, hum aage badh liye, Mud k na aayenge kabhi, teri is galion mein, Kasmein sabhi main todke, raftar le liye, chahat thi mere dil mein, deedar ho tera, Par jharoke pe tumhare, sannata tha bhara, Mayuus hoke phir se, dar se tere badhe, Hosh mein na aaye kabhi, ye sochte hue, Maikhane ko ab apna, dhikana bana liye.

Tuesday, January 26, 2010

Main Tumhen Pana Chahta Hoon

The below is a result of an assignment in which me with my colleague need to write some sher on the title "Main Tumhen Pana Chahta Hoon" and this is what i submitted. I dont know what about the others... main tumhen pana chahta hoon! dard bhare geet bhulana chahta hoon, kheja mein phool khilana chahta hoon, saaz-e-dil sunana chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon! Dilon k raftaar badhana chahta hoon, Khamosh zindagi bhagana chahta hoon, paani mein aag lagana chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon! khushi ke nagmein gungunana chahta hoon, batil ehsas zaheerana chahta hoon, mustian lutana chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon! dabe josh ka ehsaas karana chahta hoon, aasmaan ko jhukana chahta hoon, samandar mein gote lagana chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon! parvat ko dhool banana chahta hoon, tu roothe to ashq bahana chahta hoon, har tarike se tumhein manana chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon! tere aankhon mein apna naqsh chahta hoon, tere sapno mein apna ekhtyaar chahta hoon, tere saanson apni khushboo ka ehsaas chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon! Har zarre pe tera naam khudwana chahta hoon, Badalon se apne chahat ki gawahi chahta hoon, har haal mein tumhein rijhana chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon! Deewano mein apna shumar chahta hoon, Had-e-Dewangi k paar chahta hoon, apne kaseede padhwana chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon! teri raho se kaante hatana chahta hoon, teri thokar mein lana zamana chahta hoon, tere har gum ko apnana chahta hoon, main tumhen pana chahta hoon!

Tuesday, January 19, 2010

Badalon mein

Most of us find some creation in clouds and this is what i found some day... like a potrait of a beautiful girl in the sky...then breez followed by thunder and drizzle and the result is.... Kahin door badalon mein, Tera naqsh ubhar aata hai, Phir ye khayal aata hai, Shayad khuda bhi tujhe hi chahta hai, Tabhi to badalon mein, tera naqsh banata rahta hai, Badal bhi khoob idhlata hai, bal khata hai, kah-kahe lagata hai, aur shokh adaon se dharti ko bhi satata hai, phir ye soch kar sihar jata hai, ke khuda uske pass kyon aata hai---3

Hi All,

I will be available on this blog for you only. I have some sher for you obviously written by me.

Ae dil dhadak le tu zara, Shayad teri ho ye ada, Ae honth kapkapa le tu, Teri agar ho aarzoo, Zubaan to bol na payega, Jab saamne ho dilbar mera, Jee chahta hai dekha karoon, Din raat subho sham yuhin, Dekhun na tujhe to marta hoon, Ghut ghut kar sanse leta hoon, Duniya bekar si lagti hai, Behtar ho agar main mar jaaoon, Dojakh ko bhi jannat samjhoonga, Deedar agar ho jaye tera, Ye marz hai tujhko kaisa zeb, Marke bhi sukun na payega.